Shabnam Rumani

shab-charagh kar mujhko ai KHuda andhere mein

Shabnam Rumani

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1928-2009
shab-charāġh kar mujh ko ai ḳhudā añdhere meñ
saañp ban ke Dastā hai rāsta añdhere meñ
ā.īna ujālā hai zaat kā havāla hai
phir bhī kis ne dekhā hai ā.īna añdhere meñ
lekin ab bhī raushan haiñ ḳhvāb merī ā.ankhoñ ke
chāñd to kahīñ jā kar so gayā añdhere meñ
jab bhī band kiiñ āñkheñ khul ga.iiñ mirī āñkheñ
raushnī se guzrā huuñ bārhā añdhere meñ
aadmī kī qismat bhī āgahī kī qismat bhī
ibtidā añdhere se intihā añdhere meñ
apne ilm par 'shabnam' naaz kyā kare koī
ik qadam ujāle meñ dūsrā añdhere meñ
Top Urdushayar.com