Chandni Pandey

kho gaya hai jo usko khone do

Chandni Pandey

Jabalpur, Madhya Pradesh, India

1974

kho gayā hai jo us ko khone do

phir nayā ḳhvāb mujh ko bone do

bastiyoñ ko ujāḌne vaalo

ab madārī khel hone do

ḳhvāhishoñ ḳhvāb dekhnā chhoḌo

niiñd aa.ī hai mujh ko sone do

raushnā.ī na ḳhatm ho jaa.e

kāġhazoñ ko siyāh hone do

har ghaḌī ye ḳhayāl aatā hai

zindagī ke haiñ sirf kone do

jhuuT buniyād nahīñ rakhtā

rū-ba-rū sach se sab ko hone do

āñsuoñ se dhulī zamīnoñ par

ab zarā dhuup ko bhī rone do

chāñd kyoñ jāgtā hai saath mire

raat ke baj rahe haiñ paune do

Top Urdushayar.com