Chandni Pandey

umr ke lambe safar se tajraba aisa mila

Chandni Pandey

Jabalpur, Madhya Pradesh, India

1974

umr ke lambe safar se tajraba aisā milā

dhuup jab bhī sar pe aa.ī lāpatā saaya milā

dekhnā hai aks mujh ko apnā puurā magar

jab milā vo aa.ina mujh ko zarā TuuTā milā

hañste chehroñ kahānī jāntī huuñ ḳhuub maiñ

jis ko bhī parkhā vahī TuuTā milā bikhrā milā

jal rahe the paañv ik muddat se rāhat ke liye

jis taraf bhī maiñ ga.ī taptā huā sahrā milā

raat din māñgā duā jis ham-safar ke vāste

mere jīte-jī vo merā marsiya paḌhtā milā

ye safar maiñ ne akele kiyā hai 'chāñdnī'

ham-safar mujh ko kahāñ koī mire jaisā milā

Top Urdushayar.com