Mufti Sadruddin Aazurda

kya jaano jo asar hai dam-e-shoala-tab mein

Mufti Sadruddin Aazurda

Delhi, India

kyā jaano jo asar hai dam-e-sho.ala-tāb meñ

ye vo hai barq aag lagā de naqāb meñ

haal is nigah us ke sarāpe meñ kyā kahūñ

mor-e-za.īf phañs ga.ī shahd-e-nāb meñ

zikr-e-vafā vo sunte majlis se uTh ga.e

kuchh guftugū Thiik na thī aise baab meñ

kyā pūchhte ho chāra-e-hū az-ḳhvesh-e-raftagāñ

so se chaak jaama hai sozan ḳhullāb meñ

āvāz-e-sūr tere shahīdoñ ko roz-e-hashr

lagtī thī ik bhanak to kānoñ ko ḳhvāb meñ

jo dekhte us se ye guzrā kabhū nahīñ

yāqūb ke ḳhayāl o zuleḳhā ke ḳhvāb meñ

har har ro.eñ se ḳhirqa ke mere hai ḳhūñ-chakāñ

ġhote to sau diye use zamzam ke aab meñ

is chashm-e-ashk-bār ke kyūñkar ho sāmne

rone mādda nahīñ hai sahāb meñ

qismat to dekh kholī girah kuchh to rah ga.e

nāḳhun hamāre TuuT ke band-e-naqāb meñ

har-vaqt ārzū-e-azāb-e-jahīm hai

hāthoñ se hijr ke huuñ maiñ kyā kyā azaab meñ

Top Urdushayar.com