dil  dil  hī  rahegā  gul-e-tar  ho  nahīñ  saktā
ḳhuuñ  ho  ke  bhī  manzūr-e-nazar  ho  nahīñ  saktā
jo  zulm  kiyā  tū  ne  kiyā  be-jigrī  se
aisā  to  kisī  kā  bhī  jigar  ho  nahīñ  saktā
thak  thak  ke  tirī  raah  meñ  yuuñ  baiTh  gayā  huuñ
goyā  ki  bas  ab  mujh  se  safar  ho  nahīñ  saktā
iz.hār-e-mohabbat  mire  aañsū  hī  kareñge
iz.hār  ba-andāz-e-digar  ho  nahīñ  saktā
har  buuñd  lahū  kī  kabhī  bantī  nahīñ  aañsū
jaise  ki  har  ik  qatra  guhar  ho  nahīñ  saktā
ye  ahd-e-javānī  bhī  hai  kuchh  aisā  zamāna
be-bāda-e-sarjosh  basar  ho  nahīñ  saktā
le  jā.egā  ye  dil  mujhe  us  bazm  meñ  āḳhir
jis  meñ  ki  sabā  kā  bhī  guzar  ho  nahīñ  saktā
jab  tak  tirī  rahmat  kā  hai  'kashfī'  ko  sahārā
sach  ye  hai  gunāhoñ  se  hazar  ho  nahīñ  saktā