shor  hai  har  taraf  sahāb  sahāb
sāqiyā  sāqiyā!  sharāb  sharāb
āb-e-haivāñ  ko  mai  se  kyā  nisbat
paanī  paanī  hai  aur  sharāb  sharāb
riñd  baḳhshe  ga.e  qayāmat  meñ
shaiḳh  kahtā  rahā  hisāb  hisāb
ik  vahī  mast  bā-ḳhabar  niklā
jis  ko  kahte  the  sab  ḳharāb  ḳharāb
mujh  se  vaj.h-e-gunāh  jab  pūchhī
sar  jhukā  ke  kahā  shabāb  shabāb
jaam  girne  lagā  to  bahkā  shaiḳh
thāmnā  thāmnā  kitāb  kitāb
kab  vo  aatā  hai  sāmne  'kashfī'
jis  kī  har  ik  adā  hijāb  hijāb