lahūluhān  samundar  bhī  dekhnā  hai  abhī
burīda  halq  pe  ḳhanjar  bhī  dekhnā  hai  abhī
abhī  se  dasht-e-balā  se  farāġhateñ  kaisī
buland  hotā  huā  sar  bhī  dekhnā  hai  abhī
musālahat  kahāñ  hogī  sipāh-e-shām  ke  saath
zabāñ  kī  nok  pe  ḳhanjar  bhī  dekhnā  hai  abhī
namīda  chashm-e-masāfat  kī  intihā  bhī  nahīñ
udaas  nasl  ko  zad  par  bhī  dekhnā  hai  abhī
tumhāre  ḳhvāb  mirī  uñgliyoñ  se  bāhar  haiñ
tumhāre  ḳhvāb  ko  chhūkar  bhī  dekhnā  hai  abhī