Mufti Sadruddin Aazurda

mujh sa bhi koi ishq mein hai bad-guman nahin

Mufti Sadruddin Aazurda

Delhi, India

mujh sā bhī koī ishq meñ hai bad-gumāñ nahīñ
kyā rashk dekh kar mujhe rañg-e-ḳhizāñ nahīñ
āñkhoñ se dekh kar tujhe sab mānñā paḌā
kahte the jo hamesha chuneñ hai chunāñ nahīñ
uTh kar sahar ko sajda-e-mastāna ke sivā
taa.at qubūl ḳhātir-e-pīr-e-muġhāñ nahīñ
afsurda dil ho dar dar-e-rahmat nahīñ hai band
kis din khulā huā dar-e-pīr-e-muġhāñ nahīñ
ai jazb-e-shauq rahm ki madd-e-nazar hai yaar
jā saktī vaañ talak nigah-e-nā-tavāñ nahīñ
shab us ko hāl-e-dil ne jatāyā kuchh is tarah
haiñ lab to kyā nigah bhī huī tarjumāñ nahīñ
kaTtī kisī tarah se nahīñ ye shab-e-firāq
shāyad ki gardish aaj tujhe āsmāñ nahīñ
achchhā huī nikal ga.ī āh-e-hazīñ ke saath
ik qahr thī balā thī qayāmat thī jaañ nahīñ
jaane hai dil falak kā mirī saḳht-jāniyāñ
un nā-tavāniyoñ ko pahuñchtī tavāñ nahīñ
kahtā huuñ us se kuchh maiñ nikaltā hai muñh se kuchh
kahne ko yuuñ to haigī zabāñ aur zabāñ nahīñ
mahkā huā hai bait-e-huzan dekhnā koī
aayā nasīm-e-misr kā ho kārvāñ nahīñ
lab band huuñ to rauzan-e-sīna ko kyā karūñ
thamtā to mujh se nāla-e-ātish-ināñ nahīñ
kyā kuchh na kar dikhā.ūñ par ik din ke vāste
miltā bhī ham ko mansab-e-haft-āsmāñ nahīñ
vo shāḳh-e-naḳhl-e-ḳhushk huuñ maiñ kunj-e-bāġh meñ
dekhe hai bhuul kar bhī jise bāġhbāñ nahīñ
be-vaqt aa.e dair meñ kyā shorisheñ kareñ
ham pīr-o-pīr-e-mai-kada bhī naujavāñ nahīñ
'āzurda' ne paḌhī ġhazal ik mai-kade meñ kal
vo sāf-tar ki sīna-e-pīr-e-muġhāñ nahīñ
Top Urdushayar.com