ḳhudā-shanās  bahut  ham  bhī  the  magar  ab  ke
vo  maar  dil  pe  paḌī  hai  ḳhudā  ko  bhuul  ga.e
bas  ek  chashm-e-zadan  meñ  guzar  ga.ī  duniyā
baḌe  jatan  the  isī  umr-e-yak-nafas  ke  liye
vo  shakl  sāmne  rahtī  hai  kuchh  nahīñ  kahtī
taras  gayā  huuñ  bahut  lazzat-e-suḳhan  ke  liye
firāq-e-dīda-o-jāñ  dil  samajh  nahīñ  paatā
farār-e-dīda-o-dil  tū  hī  ab  tasallī  de