ġham-e-dil  ham-rahī  kare  na  kare
anjum-e-sub.h  ham  to  Duub  chale
ḳhāmushī  kis  ke  naqsh-e-pā  pe  miTī
rāste  kis  ko  DhūñDne  nikle
chāñd  taare  bhī  shab-gazīda  haiñ
sar-e-mizhgāñ  koī  charāġh  jale
paas  thī  manzil-e-murād  magar
ham  ġham-e-raftagāñ  ke  saath  rahe
sham-e-shab-tāb  ek  raat  jalī
jalne  vaale  tamām  umr  jale