muhīt-e-ḳhvāb  se  ik  bād-e-tah-nashīñ  ubhrī
havā-e-sub.h  se  ik  ġhurfa-e-ḳhayāl  khulā
masām-e-jāñ  meñ  hai  ik  dast-e-āshnā  kī  mahak
ġhubār-e-dasht  meñ  raushan  hai  naqsh-e-pā  kis  kā
vo  kaisī  diid  kī  saa.at  thī  phir  nahīñ  aa.ī
vo  kaisā  ḳhvāb  thā  ik  umr  chashm-e-tar  meñ  rahā
jo  intizār  abad  tak  hai  jism-o-jāñ  ke  firāq
jo  ho  sake  to  ab  is  raat  ko  abad  se  milā
bahut  sambhāl  ke  rakkhī  hai  ḳhalvat-e-jāñ  meñ
vo  ek  sham.a  ki  daur-e-tarab  bujhā  na  sakā