aañkh  har  shab  ko  añdheroñ  kī  qabā  dhotī  hai
ḳhvāb  kī  ret  meñ  sūraj  kā  shajar  botī  hai
ek  gumnāmī  kā  jañgal  huuñ  jahāñ  shakl  mirī
apnī  pahchān  kā  har  naqsh-e-yaqīñ  khotī  hai
duur  an-dekhī  sī  sarhad  hai  ki  jis  ke  us  paar
koī  bastī  hai  jo  rātoñ  ko  sadā  rotī  hai
sat.h-e-chādar  pe  shikan  aur  sar-e-bālīñ  pe  nasheb
ye  to  tanhā.ī  hai  bistar  pe  mire  sotī  hai
bhūlī-bisrī  huī  yādoñ  kī  ajab  bhiiḌ  hai  jo
dil  ke  darvāze  pe  har  shaam  lagī  hotī  hai