Zafar Kaleem

chal paDe to phir apni dhun mein be-KHabar barson

Zafar Kaleem

Nagpur, Maharashtra, India

1938
chal paḌe to phir apnī dhun meñ be-ḳhabar barsoñ
lauT kar nahīñ dekhā ham ne apnā ghar barsoñ
jāda-e-havādis meñ chal ke dekh le koī
kaise tai kiyā ham ne maut kā safar barsoñ
barg-o-bār par us ke haq nahīñ hamārā hī
apne ḳhuun se sīñchā ham ne jo shajar barsoñ
jo sadaf samundar kī tah meñ chhān sakte the
DhūñDte rahe vo bhī ret meñ guhar barsoñ
dosto zarūrat par kaam aa gayā apne
dushmanoñ se sīkhā thā ham ne jo hunar barsoñ
jab mile rafīqoñ se zaḳhm hī mile ham ko
be-sabab rahā dil meñ dushmanoñ kā Dar barsoñ
vo bhī kyā ajab din the shauq-e-rah-navardī meñ
ham ne bhī zamāne kī sair kī 'zafar' barsoñ
Top Urdushayar.com