Zafar Kaleem

phula-phala shajar to samar par bhi aaega

Zafar Kaleem

Nagpur, Maharashtra, India

1938

phūlā-phalā shajar to samar par bhī aa.egā

lekin isī lihāz se patthar bhī aa.egā

hālāt jab bhī shahr ke filmā.e jā.eñge

parde pe mere qatl manzar bhī aa.egā

be-chehra phir rahā huuñ magar is yaqīñ ke saath

ā.īna mere qad ke barābar bhī aa.egā

kab tak koī chhupegā adāvat ke ġhaar meñ

dushman kabhī to sāmne khul kar bhī aa.egā

be-vaj.h ranjishoñ se diloñ ko bachā.iye

zehnoñ bhed-bhāv laboñ par bhī aa.egā

behtar hai dosto ki yahīñ Daal do paḌāv

aage baḌhe to shahr-e-sitamgar bhī aa.egā

ubhreñge pastiyoñ se bhī ik roz ham 'zafar'

ūñchā.iyoñ pe apnā muqaddar bhī aa.egā

Top Urdushayar.com