Devmani pandey

ek qatre ko dariya samjha main bhi kaisa pagal hun

Devmani pandey

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1958
ik qatre ko dariyā samjhā maiñ bhī kaisā pāgal huuñ
har sapne ko sachchā samjhā maiñ bhī kaisā pāgal huuñ
beach diloñ ke vo duurī thī tai karnā āsān na thā
āñkhoñ ko ik rasta samjhā maiñ bhī kaisā pāgal huuñ
baḌā kiyā thā pāl-pos kar phir bhī ik din bichhaḌ ga.e
ḳhvāboñ ko ik bachcha samjhā maiñ bhī kaisā pāgal huuñ
kāñTe sī ḳhud merī shohrat har-pal dil meñ chubhtī hai
fan ko khel-tamāshā samjhā maiñ bhī kaisā pāgal huuñ
tan par to ujle kapḌe the lekin man ke kaale the
un logoñ ko achchhā samjhā maiñ bhī kaisā pāgal huuñ
Top Urdushayar.com