Devmani pandey

kuchh yun safar ke shauq ne manzar dikhae hain

Devmani pandey

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1958
kuchh yuuñ safar ke shauq ne manzar dikhā.e haiñ
manzil ke paas aa ke qadam laḌkhaḌā.e haiñ
duniyā ke dukh tumhāre sitam dostoñ ke ġham
kis kis ko ham batā.eñ ki kis ke satā.e haiñ
aa.e haiñ ishq meñ kabhī aise maqām bhī
āñkheñ thiiñ ashk-bār to lab muskurā.e haiñ
akasr lagā hai sach bhī mirā jhuuT aap ko
par sach yahī hai maiñ ne bahut zaḳhm khaa.e haiñ
aisā lagā ki jaag uThe pattharoñ meñ sar
jab bhī tumhāre hoñT kabhī gungunā.e haiñ
Top Urdushayar.com