Devmani pandey

ishq ke raste chalte chalte hum aise majbur hue

Devmani pandey

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1958
ishq ke raste chalte chalte ham aise majbūr hue
ek zarā sī Thes lagī to dal ke shīshe chuur hue
pyaar meñ lākhoñ dil TuuTe aur bane hazāroñ afsāne
jin meñ dil kā dard thā shāmil vo qisse mash.hūr hue
sachche logoñ ko ye duniyā jiine hī kab detī hai
un se pūchho jo ye jīvan jiine par majbūr hue
is duniyā meñ kuchh paane kā muul chukānā paḌtā hai
milī hai shohrat jin ko ziyāda vo apnoñ se duur hue
apnā ujālā baañT ke sab ko ḳhud meñ hī kho jaate haiñ
aise log magar ai duniyā tujh ko kab manzūr hue
Top Urdushayar.com