Bakhsh Layalpuri

usi ke zulm se main haalat-e-panah mein tha

Bakhsh Layalpuri

Kapurthala, Punjab, India

1934-2002

usī ke zulm se maiñ hālat-e-panāh meñ thā

har ik nafas mirā jis shaḳhs panāh meñ thā

chamak rahā thā vo ḳhurshīd-e-do-jahāñ tarah

vo haath jo ki garebān-e-kaj-kulāh meñ thā

ufuq ufuq ko payām-e-sahr diyā maiñ ne

mirā qayām agarche shab-e-siyāh meñ thā

mahak rahe the nazar meñ gulāb sapnoñ ke

khulī jo aañkh to dekhā maiñ qatl-gāh meñ thā

mire harīf mujhe rauñd kar nikal na sake

fasīl-e-sañg sūrat khaḌā maiñ raah meñ thā

jo baat baat pe kartā thā inqalāb baat

sajī salīb to vo hāmiyān-e-shāh meñ thā

adū fauj ne luuTā to kyā sitam ye hai

'ra.īs'-e-shahr bhī shāmil isī sipāh meñ thā

Top Urdushayar.com