mashaqqat  kā  ḳhazāna  māñgtā  hai
mirī  mehnat  zamāna  māñgtā  hai
har  ik  lamha  dil-e-āvāra-fitrat
masāfat  kā  ḳhazāna  māñgtā  hai
muqaddar  se  jise  māñgā  thā  maiñ  ne
use  mujh  se  zamāna  māñgtā  hai
ajab  pāgal  hai  mere  man  kā  panchhī
qafas  meñ  āshiyāna  māñgtā  hai
hameñ  har  aan  āmād-e-hijrat
hamārā  āb-o-dāna  māñgtā  hai
sitam  ye  hai  ki  ham  tishna-laboñ  se
sitamgar  ābyāna  māñgtā  hai
hamāre  shahr  kā  mard-e-subuk-sar
kulāh-e-ḳhusravāna  māñgtā  hai
mirā  har  ik  munāfiq  yaar  mujh  se
ḳhulūs-e-dostāna  māñgtā  he