saaqī  kī  navāzish  ne  to  aur  aag  lagā  dī
duniyā  ye  samajhtī  hai  mirī  pyaas  bujhā  dī
ek  baar  tujhe  aql  ne  chāhā  thā  bhulānā
sau  baar  junūñ  ne  tirī  tasvīr  dikhā  dī
is  baat  ko  kahte  hue  Darte  haiñ  safīne
tūfāñ  ko  ḳhudī  dāman-e-sāhil  ne  havā  dī
maanā  ki  maiñ  pāmāl  huā  zaḳhm  bhī  khaa.e
auroñ  ke  liye  raah  to  āsān  banā  dī
utnī  to  mai-e-nāb  meñ  garmī  nahīñ  hotī
saaqī  ne  koī  chiiz  nigāhoñ  se  milā  dī
vo  chain  se  baiThe  haiñ  mire  dil  ko  miTā  kar
ye  bhī  nahīñ  ehsās  ki  kyā  chiiz  miTā  dī
ai  bād-e-chaman  tujh  ko  na  aanā  thā  qafas  meñ
tū  ne  to  mirī  qaid  kī  mī.ād  baḌhā  dī
le  de  ke  tire  dāman-e-umīd  meñ  'māhir'
ek  chiiz  javānī  thī  javānī  bhī  luTā  dī