Azhar Hashmi

hamesha wahid-e-yakta bayan se guzra hai

Azhar Hashmi

Munger, Bihar, India

1990
hamesha vāhid-e-yaktā bayāñ se guzrā hai
ḳhudā kā zikr jab apnī zabāñ se guzrā hai
lakīr khīñch ke nūr-e-gumāñ se guzrā hai
mujhe yaqīñ hai koī āsmāñ se guzrā hai
chamaktā rahtā hai donoñ jahāñ kī manzil par
vo ek shaḳhs jo har imtihāñ se guzrā hai
bas itnā bol rahī chāragar kī ḳhāmoshī
balā kā dard dil-e-nā-tavāñ se guzrā hai
to kyā huā jo ab āñkhoñ meñ qaid hai sahrā
tire firāq meñ dariyā yahāñ se guzrā hai
usī pe sabr hai mujh ko har ek daur yahāñ
bahār aane se pahle ḳhizāñ se guzrā hai
ḳhamosh lahje meñ 'az.har' ko hāshmī ne kahā
tirā vajūd bhī ik ḳhāndāñ se guzrā hai
Top Urdushayar.com