Faiz ul Hasan Khayal

jab tak mizaj-e-dost mein kuchh barhami rahi

Faiz ul Hasan Khayal

Hyderabad, Telangana, India

jab tak mizāj-e-dost meñ kuchh barhamī rahī
goyā bujhī bujhī sī mirī zindagī rahī
jis par nigāh-e-lutf-e-karam aap kī rahī
hairat se har nigāh use dekhtī rahī
go maiñ rahā kashākash-e-daurāñ se ham-kanār
lekin mire laboñ pe hañsī kheltī rahī
laayā hai ishq ne mujhe aise maqām par
ḳhud-āgahī rahī na ḳhudā-āgahī rahī
josh-e-junūñ ne manzil-e-maqsūd pā liyā
aql-e-salīm dekhtī hī dekhtī rahī
sab kuchh mujhe 'ḳhayāl' kī duniyā meñ mil gayā
lekin tumhāre husn-e-nazar kī kamī rahī
Top Urdushayar.com