Faiz ul Hasan Khayal

ek muddat se sar-e-baam wo aaya bhi nahin

Faiz ul Hasan Khayal

Hyderabad, Telangana, India

ek muddat se sar-e-bām vo aayā bhī nahīñ
ham ko ab hasrat-e-dīdār-e-tamannā bhī nahīñ
jāda-e-shauq meñ tanhā bhī huuñ tanhā bhī nahīñ
kyā hasīñ baat hai rusvā bhī huuñ rusvā bhī nahīñ
tum jo nārāz hue ho ga.ī duniyā barham
ab to girtī huī dīvār kā saaya bhī nahīñ
kis ko maiñ duut kahūñ kis ko maiñ dushman jānūñ
sabhī apne haiñ yahāñ koī parāyā bhī nahīñ
aaj tak bhī maiñ parastish to kiye jaatā huuñ
ye alag baat ki maiñ ne tumheñ dekhā bhī nahīñ
sub.h kī sham.eñ liye phirte ho kyuuñ dīvāno
rishta-e-shab to abhī ḳhair se TuuTā bhī nahīñ
to taḳhayyul ke darīche meñ thā khoyā khoyā
paikar-e-husn tujhe maiñ ne jagāyā bhī nahīñ
kis tarah ġham ko maiñ taqsīm karūñgā yaaro
qissa-e-dard ko hālāt ne samjhā bhī nahīñ
kab talak chalnā paḌegā hameñ tanhā tanhā
ab kisī moḌ pe mil jā.eñge aisā bhī nahīñ
rū-ba-rū un ke mire hoñT na khulne paa.e
dil ko iz.hār-e-tamannā kā sahārā bhī nahīñ
jaane kyā soch ke us ne mujhe dīvāna kahā
haa.e us ko abhī mahfil pe bharosa bhī nahīñ
rābte joḌne niklā thā maiñ insāñ ke 'ḳhayāl'
kisī insāñ ne mujhe pyaar se dekhā bhī nahīñ
Top Urdushayar.com