dil  mirā  tīr-e-sitamgar  kā  nishāna  ho  gayā
āfat-e-jāñ  mere  haq  meñ  dil  lagānā  ho  gayā
ho  gayā  lāġhar  jo  us  lailā-adā  ke  ishq  meñ
misl-e-majnūñ  haal  merā  bhī  fasāna  ho  gayā
ḳhāksārī  ne  dikhāyā  ba.ad  murdan  bhī  uruuj
āsmāñ  turbat  par  mere  shāmiyāna  ho  gayā
ḳhvāb-e-ġhaflat  se  zarā  dekho  to  kab  chauñke  haiñ  ham
qāfila  mulk-e-adam  ko  jab  ravāna  ho  gayā
fasl-e-gul  meñ  bhī  rihā.ī  kī  na  kuchh  sūrat  huī
qaid  meñ  sayyād  mujh  ko  ik  zamāna  ho  gayā
dil  jalāyā  sūrat-e-parvāna  jab  se  ishq  meñ
farz  tab  se  sham.a  par  aañsū  bahāna  ho  gayā
aaj  tak  ai  dil  javāb-e-ḳhat  na  bhejā  yaar  ne
nāma-bar  ko  bhī  ga.e  kitnā  zamāna  ho  gayā
pās-e-rusvā.ī  se  dekho  paas  aa  sakte  nahīñ
raat  aa.ī  niiñd  kā  tum  ko  bahāna  ho  gayā
ho  pareshānī  sar-e-mū  bhī  na  zulf-e-yār  ko
is  liye  merā  dil-e-sad-chāk  shāna  ho  gayā
ba.ad  murdan  kaun  aatā  hai  ḳhabar  ko  ai  'rasā'
ḳhatm  bas  kunj-e-lahad  tak  dostāna  ho  gayā