baiThe  jo  shaam  se  tire  dar  pe  sahar  huī
afsos  ai  qamar  ki  na  mutlaq  ḳhabar  huī
armān-e-vasl  yūñhī  rahā  so  ga.e  nasīb
jab  aañkh  khul  ga.ī  to  yakāyak  sahar  huī
dil  āshiqoñ  ke  chhid  ga.e  tirchhī  nigāh  se
mizhgāñ  kī  nok-e-dushman-e-jānī  jigar  huī
pachhtātā  huuñ  ki  aañkh  abas  tum  se  laḌ  ga.ī
barchhī  hamāre  haq  meñ  tumhārī  nazar  huī
chhānī  kahāñ  na  ḳhaak  na  paayā  kahīñ  tumheñ
miTTī  mirī  ḳharāb  abas  dar-ba-dar  huī
dhyān  aa  gayā  jo  shaam  ko  us  zulf  kā  'rasā'
uljhan  meñ  saarī  raat  hamārī  basar  huī