ab  is  tarah  sitam-e-rozgār  hotā  hai
qafas  ke  sāmne  zikr-e-bahār  hotā  hai
ḳhudā  ke  vāste  dāman  kā  chaak  siine  do
kabhī  kabhī  to  junūñ  hoshiyār  hotā  hai
vafā  kā  zikr  hī  kyuuñ  chheḌte  haiñ  ahl-e-vafā
jab  un  kī  ḳhātir-e-nāzuk  pe  baar  hotā  hai
vo  sāmne  hoñ  to  aañsū  nikal  hī  jaate  haiñ
ye  jurm  vo  hai  jo  be-iḳhtiyār  hotā  hai
maiñ  mutma.in  huuñ  agarche  ḳharāb  hai  māhaul
ḳhizāñ  ke  ba.ad  kā  aalam  bahār  hotā  hai