Bhartendu Harishchandra

aa gai sar par qaza lo sara saman rah gaya

Bhartendu Harishchandra

Banaras, Uttar pradesh, India

1850-1885
aa ga.ī sar par qazā lo saarā sāmāñ rah gayā
ai falak kyā kyā hamāre dil meñ armāñ rah gayā
bāġhbāñ hai chaar din kī bāġh-e-ālam meñ bahār
phuul sab murjhā ga.e ḳhālī bayābāñ rah gayā
itnā ehsāñ aur kar lillāh ai dast-e-junūñ
baaqī gardan meñ faqat tār-e-garebāñ rah gayā
yaad aa.ī jab tumhāre ruup raushan kī chamak
maiñ sarāsar sūrat-e-ā.īna hairāñ rah gayā
le chale do phuul bhī is bāġh-e-ālam se na ham
vaqt-e-rahlat haif hai ḳhālī hī dāmāñ rah gayā
mar ga.e ham par na aa.e tum ḳhabar ko ai sanam
hausla ab dil kā dil hī meñ mirī jaañ rah gayā
nā-tavānī ne dikhāyā zor apnā ai 'rasā'
sūrat-e-naqsh-e-qadam maiñ bas numāyāñ rah gayā
Top Urdushayar.com