phir  mujhe  likhnā  jo  vasf-e-rū-e-jānāñ  ho  gayā
vājib  is  jā  par  qalam  ko  sar  jhukānā  ho  gayā
sar-kashī  itnī  nahīñ  zālim  hai  o  zulf-e-siyah
bas  ki  tārīk  apnī  āñkhoñ  meñ  zamāna  ho  gayā
dhyān  aayā  jis  ghaḌī  us  ke  dahān-e-tañg  kā
ho  gayā  dam  band  mushkil  lab  hilānā  ho  gayā
ai  azal  jaldī  rihā.ī  de  na  bas  tāḳhīr  kar
ḳhāna-e-tan  bhī  mujhe  ab  qaid-ḳhāna  ho  gayā
aaj  tak  ā.īna-vash  hairān  hai  is  fikr  meñ
kab  yahāñ  aayā  sikandar  kab  ravāna  ho  gayā
daulat-e-duniyā  na  kaam  aa.egī  kuchh  bhī  ba.ad-e-marg
hai  zamīñ  meñ  ḳhaak  qārūñ  kā  ḳhazāna  ho  gayā
baat  karne  meñ  jo  lab  us  ke  hue  zer-o-zabar
ek  saa.at  meñ  tah-o-bālā  zamāna  ho  gayā
dekh  lī  raftār  us  gul  kī  chaman  meñ  kyā  sabā
sarv  ko  mushkil  qadam  aage  baḌhānā  ho  gayā
jaan  dī  āḳhir  qafas  meñ  andalīb-e-zār  ne
muzhda  hai  sayyād  vīrāñ  āshiyāna  ho  gayā
zinda  kar  detā  hai  ik  dam  meñ  ye  īsā-e-nafas
khel  is  ko  goyā  murde  ko  jilānā  ho  gayā
tausan-e-umr-e-ravāñ  dam  bhar  nahīñ  ruktā  'rasā'
har  nafas  goyā  usī  kā  tāziyāna  ho  gayā