Bhartendu Harishchandra

rahe na ek bhi bedad-gar sitam baqi

Bhartendu Harishchandra

Banaras, Uttar pradesh, India

1850-1885
rahe na ek bhī bedād-gar sitam baaqī
ruke na haath abhī tak hai dam meñ dam baaqī
uThā duī kā jo pardā hamārī āñkhoñ se
to ka.abe meñ bhī rahā bas vahī sanam baaqī
bulā lo bālīñ pe hasrat na dil meñ mere rahe
abhī talak to hai tan meñ hamāre dam baaqī
lahad pe ā.eñge aur phuul bhī uThā.eñge
ye rañj hai ki na us vaqt hoñge ham baaqī
ye chaar din ke tamāshe haiñ aah duniyā ke
rahā jahāñ meñ sikandar na aur na jam baaqī
tum aao taar se marqad pe ham qadam chūmeñ
faqat yahī hai tamannā tirī qasam baaqī
'rasā' ye rañj uThāyā firāq meñ tere
rahe jahāñ meñ na āḳhir ko aah ham baaqī
Top Urdushayar.com