fasād-e-duniyā  miTā  chuke  haiñ  husūl-e-hastī  miTā  chuke  haiñ
ḳhudā.ī  apne  meñ  pā  chuke  haiñ  mujhe  gale  ye  lagā  chuke  haiñ
nahīñ  nazākat  se  ham  meñ  tāqat  uThā.eñ  jo  nāz-e-hūr-e-jannat
ki  nāz-e-shamshīr-e-pur-nazākat  ham  apne  sar  par  uThā  chuke  haiñ
najāt  ho  yā  sazā  ho  merī  mile  jahannam  ki  pā.ūñ  jannat
ham  ab  to  un  ke  qadam  pe  apnā  gunah-bharā  sar  jhukā  chuke  haiñ
nahīñ  zabāñ  meñ  hai  itnī  tāqat  jo  shukr  laa.eñ  bajā  ham  un  kā
ki  dām-e-hastī  se  mujh  ko  apne  ik  haath  meñ  vo  chhuḌā  chuke  haiñ
vajūd  se  ham  adam  meñ  aa  kar  makīñ  hue  lā-makāñ  ke  jā  kar
ham  apne  ko  un  kī  teġh  khā  kar  miTā  miTā  kar  banā  chuke  haiñ
yahī  haiñ  adnā  sī  ik  adā  se  jinhoñ  ne  barham  hai  ki  ḳhudā.ī
yahī  haiñ  akasr  qazā  ke  jin  se  farishte  bhī  zak  uThā  chuke  haiñ
ye  kah  do  bas  maut  se  ho  ruḳhsat  kyuuñ  nāhaq  aa.ī  hai  us  kī  shāmat
ki  dar  talak  vo  masīh-ḳhaslat  mirī  ayādat  ko  aa  chuke  haiñ
jo  baat  maane  to  ain  shafqat  na  maane  to  ain  husn-e-ḳhūbī
'rasā'  bhalā  ham  ko  daḳhl  kyā  ab  ham  apnī  hālat  sunā  chuke  haiñ