Bhartendu Harishchandra

dasht-paimai ka gar qasd mukarrar hoga

Bhartendu Harishchandra

Banaras, Uttar pradesh, India

1850-1885

dasht-paimā.ī gar qasd mukarrar hogā

har sar-e-ḳhār pa.e-ābla nashtar hogā

mai-kade se tirā dīvāna jo bāhar hogā

ek meñ shīsha aur ik haath meñ sāġhar hogā

halqa-e-chashm-e-sanam likh ke ye kahtā hai qalam

bas ki markaz se qadam apnā na bāhar hogā

dil na denā kabhī in sañg-diloñ ko yaaro

chuur hovegā jo shīsha tah-e-patthar hogā

dekh letā vo agar ruḳh tajallī tere

aa.ina ḳhāna-e-māyūsī meñ shashdar hogā

chaak kar Dālūñgā dāmān-e-kafan vahshat se

āstīñ se na mirā haath jo bāhar hogā

ai 'rasā' jaisā hai bargashta zamāna ham se

aisā bargashta kisī na muqaddar hogā

Top Urdushayar.com