yūsufī  gar  nahīñ  mumkin  to  zuleḳhā.i  kar
un  se  paidā  koī  taqrīb-e-shanāsā.ī  kar
pahle  har  ġham  kī  mohabbat  meñ  pazīrā.ī  kar
chaak  phir  dāman-e-tamkīn-o-shakebā.ī  kar
rū-ba-rū  un  ke  mirā  haal  sunāne  vaale
apnī  jānib  se  bhī  kuchh  hāshiya-ārā.ī  kar
na  tamannā  na  tirī  yaad  na  ġham  ho  na  ḳhushī
kabhī  aisā  bhī  atā  ālam-e-tanhā.ī  kar
merī  qismat  meñ  haiñ  patthar  tirī  qismat  meñ  haiñ  phuul
apnī  shohrat  se  na  andāza-e-rusvā.ī  kar
sab  mire  hāl-e-pareshāñ  kā  uḌāte  haiñ  mazāq
ai  ġham-e-dost  mirī  hausla-afzā.ī  kar