hāmid  kahāñ  ki  dauḌ  ke  jā.ūñ  ḳhabar  ko  maiñ
kis  aarzū  pe  qat.a  karūñ  is  safar  ko  maiñ
maanā  burī  ḳhabar  hai  pa  terī  ḳhabar  to  hai
sabr-o-qarār  nazr  karūñ  nāma-bar  ko  maiñ
ye  sañg-o-ḳhisht  aah  dilāte  haiñ  terī  yaad
rotā  huuñ  dekh  dekh  ke  dīvār-o-dar  ko  maiñ
hai  terī  shakl  yā  tirī  āvāz  kā  ḳhayāl
kartā  huuñ  iltifāt  yakāyak  jidhar  ko  maiñ
afsos  haa.e  haa.e  kī  aatī  nahīñ  sadā
pūchhe  to  kyā  batā.ūñ  tire  chāra-gar  ko  maiñ
kyā  ho  gayā  ise  ki  tujhe  dekhtī  nahīñ
jī  chāhtā  hai  aag  lagā  duuñ  nazar  ko  maiñ
achchhā  jo  tū  ne  gosha-e-marqad  kiyā  pasand
ab  apne  haq  meñ  gor  banā.ūñgā  ghar  ko  maiñ
tere  sar-e-azīz  kī  bālish  ho  ḳhaak  se
bālīn-e-ġham  se  ab  na  uThā.ūñgā  sar  ko  maiñ
dekhī  na  thī  bahār  abhī  tere  shabāb  kī
bhūlā  na  thā  abhī  tire  ahd-e-siġhar  ko  maiñ
taqdīr  hī  ne  haa.e  na  kī  kuchh  musā.idat
kyā  ro.uuñ  ab  duā-o-davā  ke  asar  ko  maiñ
hukm-e-ḳhudā  yahī  thā  ki  baiThā  kiyā  karūñ
mātam  meñ  tere  ashk-fishāñ  chashm-e-tar  ko  maiñ
juz  dard-o-dāġh  tū  ne  na  chhoḌā  nishān  haif
rakhūñgā  mehmān  inheñ  umr  bhar  ko  maiñ
kar  ne  do  āh-o-nāla  ki  āḳhir  rahūñgā  baiTh
taslīm  kar  ke  hukm-e-qazā-o-qadar  ko  maiñ
kyā  fikr-e-āb-o-nān  ki  ġham  kah  rahā  hai  ab
maujūd  huuñ  ziyāfat-e-dil  aur  jigar  ko  maiñ
tujh  ko  javār-e-rahmat-e-haq  meñ  jagah  mile
māñgā  karūñgā  ab  ye  duā  har  sehr  ko  meñ
habs-e-davām  to  nahīñ  duniyā  ki  mar  rahūñ
kaahe  ko  ghar  ḳhayāl  karūñ  rahguzar  ko  maiñ
ḳhud  ham  se  bhī  zyāda  ho  jo  ham  pe  mehrbāñ
vo  jām-e-zahr  de  to  na  chakhūñ  shakar  ko  maiñ
vo  jaane  aur  us  kī  razā  jo  pasand  ho
sab  kaam  sauñptā  huuñ  usī  dād-gar  ko  maiñ
hotā  na  dil  meñ  dard  to  kartā  na  haa.e  haa.e
detā  na  tuul  yuuñ  suḳhan-e-muḳhtasar  ko  maiñ