hai  be-lab-o-zabān  bhī  ġhul  tere  naam  kā
mahram  nahīñ  hai  gosh  magar  is  payām  kā
ḳhush  hai  malāmat  ahl-e-ḳharābāt  kai  liye
is  silsile  meñ  naam  nahīñ  nañg-o-nām  kā
naḳhvat  hai  jis  ke  kāsa-e-sar  meñ  bharī  hui
kab  mustahiq  hai  mahfil  rindāñ  meñ  jaam  kā
jāgīr-e-dard  par  hameñ  sarkār-e-ishq  ne
tahrīr  kar  diyā  hai  vasīqa  davām  kā
vādī-e-ishq  meñ  na  milā  koī  ham-safar
sunte  the  naam  ḳhizr  alaihis-salām  kā
āsūdgī  na  DhūñD  ki  jaatā  hai  kārvāñ
le  musta.ār  barq  se  vaqfa  qayām  kā
kholā  hai  mujh  pe  sirr-e-haqīqat  majāz  ne
ye  puḳhtagī  sila  hai  ḳhayālāt-e-ḳhām  kā
khātā  nahīñ  fareb-e-tamannā-e-do-jahāñ
ḳhūgar  nahīñ  hai  tausan-e-himmat  lagām  kā
mat  rakh  tama.a  se  chashm-e-tamatto  ki  hai  yahāñ
daana  har  ek  mardumak-e-dīda-dām  kā
pahuñchā  diyā  hudūd-e-do-ālam  se  bhī  pare
mutrib  ne  raag  chheḌ  diyā  kis  maqām  kā
zulmat  meñ  kyā  tamīz  safed-o-siyāh  kī
furqat  meñ  kuchh  hisāb  nahīñ  sub.h-o-shām  kā
jis  kī  nazar  hai  san.at-e-abrū-nigār  par
hai  vo  qatīl-e-teġh  na  kushta  niyām  kā
khāne  ko  ai  harīs  ġham-e-ishq  kam  nahīñ
ye  ho  to  kuchh  bhī  fikr  na  kar  qarz-o-vām  kā
maiñ  be-qarār-e-manzil-e-maqsūd  be-nishāñ
raste  kī  intihā  na  Thikānā  maqām  kā
gar  dekhiye  to  ḳhātir-e-nāshād  shaad  hai
sach  pūchhiye  to  hai  dil-e-nākām  kaam  kā
uTThe  tirī  naqāb  to  uTh  jaa.e  ek  baar
sab  tafraqa  ye  roz-o-shab-o-sub.h-o-shām  kā