Ismail Merathi

abr baadal hai aur sahab ghaTa

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
abr bādal hai aur sahāb ghaTā
jis kī ham dekhte haiñ aaj bahār
kis ko bārāñ ne tāzgī baḳhshī
zar.a khetī hai aur daraḳht ashjār
kaun sī jā hai sair ke qābil
baaġh rauza hadīqa aur gulzār
ab ġharīboñ ko ho ga.ī taskīñ
jo ki lete the qarz-o-vām udhār
qaht hai kaal aur gadā.ī bhiik
jis ke meñh ne miTā diye āsār
jū nadī āb-gīr hai tālāb
meñh jo barsā to bhar ga.e yak-bār
nirḳh hai bhaav aur ġhalla anaaj
sastā arzāñ hai suuq hai bāzār
mardum-o-ādmī bashar insān
fazl-e-bārī ke sab haiñ shukr-guzār
haiñ kushāvarz kāst-kār kisān
ḳhushk-sālī se the bahut nā-chār
meñh barastā rahā ka.ī din raat
roz-o-shab sub.h-o-shām lail-o-nahār
qatra hai buuñd aur meñh bārāñ
aab paanī hai aur bahut bisyār
būñdā-bāndī yahī tarashshoh hai
jaise hai aaj nannhī nannhī phuvār
kaalī kaalī ghaTā hai abr-e-siyāh
jo ki barsā rahī hai ye bauchhār
saaya hai chhāñv āftāb hai dhuup
dekh aaj dhuup chhāñv kī ye bahār
Top Urdushayar.com