abr  bādal  hai  aur  sahāb  ghaTā
jis  kī  ham  dekhte  haiñ  aaj  bahār
kis  ko  bārāñ  ne  tāzgī  baḳhshī
zar.a  khetī  hai  aur  daraḳht  ashjār
kaun  sī  jā  hai  sair  ke  qābil
baaġh  rauza  hadīqa  aur  gulzār
ab  ġharīboñ  ko  ho  ga.ī  taskīñ
jo  ki  lete  the  qarz-o-vām  udhār
qaht  hai  kaal  aur  gadā.ī  bhiik
jis  ke  meñh  ne  miTā  diye  āsār
jū  nadī  āb-gīr  hai  tālāb
meñh  jo  barsā  to  bhar  ga.e  yak-bār
nirḳh  hai  bhaav  aur  ġhalla  anaaj
sastā  arzāñ  hai  suuq  hai  bāzār
mardum-o-ādmī  bashar  insān
fazl-e-bārī  ke  sab  haiñ  shukr-guzār
haiñ  kushāvarz  kāst-kār  kisān
ḳhushk-sālī  se  the  bahut  nā-chār
meñh  barastā  rahā  ka.ī  din  raat
roz-o-shab  sub.h-o-shām  lail-o-nahār
qatra  hai  buuñd  aur  meñh  bārāñ
aab  paanī  hai  aur  bahut  bisyār
būñdā-bāndī  yahī  tarashshoh  hai
jaise  hai  aaj  nannhī  nannhī  phuvār
kaalī  kaalī  ghaTā  hai  abr-e-siyāh
jo  ki  barsā  rahī  hai  ye  bauchhār
saaya  hai  chhāñv  āftāb  hai  dhuup
dekh  aaj  dhuup  chhāñv  kī  ye  bahār