ravish-e-sāda-bayānī  merī
hai  ye  teġh-e-safhānī  merī
nā-shanāsā  ko  na  aa.e  bāvar
dāstāñ  us  kī  zabānī  merī
merī  hastī  hai  mumayyaz  ba-adam
be-nishānī  hai  nishānī  merī
raḳhna-gar  hai  mirī  āzādī  meñ
havas-e-bāl  fishānī  merī
sabaq-e-jahl  kī  takrār  pe  ab
munhasir  hai  hama-dānī  merī
dostī  vaz.a-e-tan-āsānī  kī
ban  ga.ī  dushman-e-jānī  merī
ḳhātma  hai  mirī  tamhīd  meñ  darj
hai  dil-āvez  kahānī  merī
zīrakī  dām-e-fareb-e-dil  hai
hai  tahayyur  nigarānī  merī
dil  ho  saaqī  lab-e-dariyā  sāġhar
sahl  hai  pyaas  bujhānī  merī
sub.h-e-tiflī  hai  buḌhāpā  merā
shām-e-pīrī  thī  javānī  merī
ek  chakkar  hai  ba-shakl-e-gardāb
band-barpā  hai  ravānī  merī
vaj.h  baaqī  mire  ma.anī  ko  samajh
sūrat  albatta  hai  faanī  merī
bazm-e-kasrat  kā  tamāshā.ī  huuñ
vahdat-e-sarf  hai  baanī  merī