Ismail Merathi

itna to jaante hain ki bande KHuda ke hain

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
itnā to jānte haiñ ki bande ḳhudā ke haiñ
aage havās gum ḳhirad-e-nā-rasā ke haiñ
mamnūn-e-barg-e-gul haiñ na sharminda-e-sabā
ham bulbul aur hī chaman-e-dil-kushā ke haiñ
kyā kohkan kī koh-kanī kyā junūn-e-qais
vādī-e-ishq meñ ye maqām ibtidā ke haiñ
bunyān-e-umr sust hai aur mun.imān-e-dahr
maġhrūr apne ko shak-e-ālī binā ke haiñ
apne vajūd kā abhī uqda khulā nahīñ
masrūf hill-o-aqd maiñ arz-o-samā ke haiñ
shaiḳh aur barhaman meñ agar laag hai to ho
donoñ shikār-e-ġhamza usī dil-rubā ke haiñ
jin ko ināyat-e-azalī se hai chashm-dāsht
vo mo'taqid duā ke na qaa.el davā ke haiñ
laayā nahīñ hunūz naved-e-visāl-e-dost
ham shikva-sanj sustī-e-paik-e-sabā ke haiñ
samjho agar to haiñ vahī sab se harīs-tar
tālib ḳhudā se jo dil-e-be-mudda.ā ke haiñ
un bad-diloñ ne ishq ko bad-nām kar diyā
jo murtakib shikāyat-e-jaur-o-jafā ke haiñ
himmat humā-e-auj-e-sa.ādat hai mard ko
ullū haiñ vo jo shefta zill-e-humā ke haiñ
hai ashk-o-āh raas hamāre mizāj ko
ya.anī pale hue isī āb-o-havā ke haiñ
jo bāñdhte haiñ turra-e-tarrār kā ḳhayāl
nādāñ umīd-vār nuzūl-e-balā ke haiñ
khaTkā bhī kuchh huā nahīñ aur dil uḌā liyā
ye saare hathkañDe tirī zulf-e-dotā ke haiñ
said-e-karishma is liye hote nahīñ ki ham
pahle se zaḳhm-ḳhurda fareb-e-vafā ke haiñ
maarā bhī aur maar ke zinda bhī kar diyā
ye sho.abde to shoḳhī-e-nāz-o-adā ke haiñ
ḳhalvat meñ bhī ravā nahīñ gustāḳhi-e-nigāh
parde paḌe hue abhī sharm-o-hayā ke haiñ
yuuñ kah rahī hai nargis-e-bīmār kī adā
nusḳhe to mujh ko yaad hazāroñ shifā ke haiñ
ab tak hai sajda-gāh-e-azīzān-e-rozgār
jis ḳhaak par nishān tire kafsh-e-pā ke haiñ
andesha hai ki de na idhar kī udhar lagā
mujh ko to nā-pasand vatīre sabā ke haiñ
sair-e-varūd-e-qāfila-e-nau-bahār dekh
barpā ḳhiyām auj-e-havā meñ ghaTā ke haiñ
jaatā hai ḳhāk-e-pāk-e-deccan ko ye reḳhta
vaañ qadr-dān is guhar-e-be-bahā ke haiñ
ahbāb kā karam hai agar nukta-chīñ na hoñ
varna ham aap mo'tarif apnī ḳhatā ke haiñ
Top Urdushayar.com