hai  jān-e-hazīñ  ek  lab-e-rūh-fazā  do
ai  kaash  ki  is  ek  kī  ho  jaa.eñ  davā  do
thā  ḳhār-e-jigar  hijr  meñ  tanhā  ġham-e-dūrī
haiñ  āfat-e-jāñ  vasl  meñ  ab  sharm-o-hayā  do
mastāna-ravish  kyuuñ  na  chale  vo  nigah-e-nāz
āñkheñ  haiñ  ki  haiñ  jām-e-mai-e-hosh-rubā  do
jī  tañg  hai  kyā  kījiye  aur  josh-e-balā  ye
dil  ek  hai  kyā  dījiye  aur  zulf-e-dotā  do
hai  ain  ināyat  jo  nishāñ  pūchhiye  merā
ye  bhī  nahīñ  manzūr  to  apnā  hī  patā  do
kyā  dām-e-fareb  us  ne  bichhāyā  hai  dil-āvez
do  aan  phañseñ  aur  jo  ho  jaa.eñ  rihā  do
gar  nāz-ḳhud-ārā  ko  hai  yaktā.ī  kā  da.avā
kyuuñ  ā.īna  dekhā  ki  hue  jalva-numā  do
bebākī-o-shoḳhī  bhī  hai  aur  sharm-o-hayā  bhī
do  mahram-e-asrār  haiñ  to  parda-kushā  do
do  gesū-o-do  zulf-e-balā-ḳhez  haiñ  chāroñ
haañ  kākul-e-ḳhamdār  bhī  haiñ  un  ke  sivā  do
vo  tarz-o-ravish  haa.e  vo  andāz-o-adā  haif
kyā  bachte  dil-o-jān  kujā  chaar  kujā  do
serī-e-nazar  bhī  na  huī  haa.e  mayassar
āñkheñ  jo  huiiñ  chaar  lage  tīr-e-qazā  do