hai  vasf  tirā  muhīt-e-āzam
yaañ  taab  kise  shanāvarī  kī
dī  zindagī  aur  us  kā  sāmāñ
kyā  shaan  hai  banda-parvarī  kī
shāhansha-e-vaqt  hai  vo  jis  ne
tere  dar  kī  gadāgarī  kī
bad-tar  huuñ  vale  karam  se  tere
ummīd-e-qavī  hai  behtarī  kī
kyā  aañkh  ko  til  diyā  ki  jis  meñ
vus.at  hai  charḳh-e-chambarī  kī
dekhā  to  vahī  hai  rāh-o-rahrav
phir  us  ne  hai  aap  rahbarī  kī
har  shakl  meñ  thā  vahī  numūdār
ham  ne  hī  nigāh  sarsarī  kī
kyā  baat  hai  gar  kiyā  tarahhum
haihāt  jo  tū  ne  dāvarī  kī
kī  ba.ad-e-ḳhizāñ  bahār  paidā
sūkhī  Tahnī  harī-bharī  kī
jhuuT  aur  mubālaġha  ne  afsos
izzat  kho  dī  suḳhanvarī  kī
likkhī  thī  ġhazal  ye  āgara  meñ
pahlī  tārīḳh  january  kī