āġhāz-e-ishq  umr  kā  anjām  ho  gayā
nākāmiyoñ  ke  ġham  meñ  mirā  kaam  ho  gayā
tum  roz-o-shab  jo  dast-ba-dast-e-adū  phire
maiñ  pā.emāl-e-gardish-e-ayyām  ho  gayā
merā  nishāñ  miTā  to  miTā  par  ye  rashk  hai
vird-e-zabān-e-ḳhalq  tirā  naam  ho  gayā
dil  chaak  chaak  naġhma-e-nāqūs  ne  kiyā
sab  paara  paara  jāma-e-ehrām  ho  gayā
ab  aur  DhūñDiye  koī  jaulāñ-gah-e-junūñ
sahrā  ba-qadr-e-vus.at-e-yak-gām  ho  gayā
dil  pech  se  na  turra-e-pur-ḳham  ke  chhuT  sakā
bālā-ravī  se  murġh  tah-e-dām  ho  gayā
aur  apne  haq  meñ  ta.an-e-taġhāful  ġhazab  huā
ġhairoñ  se  multafit  but-e-ḳhud-kām  ho  gayā
tāsīr-e-jazba  kyā  ho  ki  dil  iztirāb  meñ
taskīñ-pazīr  bosa-ba-paiġhām  ho  gayā
kyā  ab  bhī  mujh  pe  farz  nahīñ  dostī-e-kufr
vo  zid  se  merī  dushman-e-islām  ho  gayā
allāh-re  bosa-e-lab-e-mai-gūñ  kī  aarzū
maiñ  ḳhaak  ho  ke  durd-e-tah-e-jām  ho  gayā
ab  tak  bhī  hai  nazar  taraf-e-bām-e-māh-vash
maiñ  garche  āftāb-e-lab-e-bām  ho  gayā
ab  harf-e-nā-sazā  meñ  bhī  un  ko  dareġh  hai
kyuuñ  mujh  ko  zauq-e-lazzat-e-dushnām  ho  gayā