ġhair-e-tavakkul  nahīñ  chārā  mujhe
apne  hī  dam  kā  hai  sahārā  mujhe
hirs-o-tama  ne  to  Duboyā  hī  thā
sabr-o-qanā.at  ne  ubhārā  mujhe
jo  vo  kahe  us  ko  sazā-vār  hai
chūn-o-charā  kā  nahīñ  yaarā  mujhe
be-adaboñ  kī  adab-āmoziyāñ
in  ke  bigaḌne  ne  sañvārā  mujhe
koshish-e-be-sūd  mushavvash  na  kar
qa.ar  na  ban  jaa.e  kinārā  mujhe
zishtī-e-pindār  dilātā  hai  yaad
qissa-e-askandar-o-dārā  mujhe
nañg-e-muzillat  se  chhuḌā  le  gayā
josh-e-hamiyyat  kā  harārā  mujhe
auj-e-ma.ālī  pe  uḌā  le  gayā
tausan-e-himmat  kā  tarārā  mujhe
aah  nahīñ  ruḳhsat-e-ifshā-e-rāz
qissa  to  ma.alūm  hai  saarā  mujhe
fursat-e-auqāt  hai  bas  muġhtanim
ye  nahīñ  milne  kī  dobārā  mujhe