Ismail Merathi

main agar wo hun jo hona chahiye

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917

maiñ agar vo huuñ jo honā chāhiye

maiñ maiñ huuñ phir mujhe kyā chāhiye

ġharq-e-ḳhum honā mayassar ho to bas

chāhiye sāġhar na miinā chāhiye

munhasir marne pe hai fatah-o-shikast

khel mardāna hai khelā chāhiye

be-takalluf phir to khevā paar hai

maujzan qatra meñ dariyā chāhiye

tez ġhairoñ par na kar teġh-o-tabar

aap apne se mubarrā chāhiye

ho dam-e-arz-e-tajallī paash paash

siina misl-e-tūr-e-sīnā chāhiye

husn kyā ibtidā kyā intihā

shefta bhī be-sar-o-pā chāhiye

pārsā ban gar nahīñ rindoñ meñ baar

kuchh to bekārī meñ karnā chāhiye

kufr hai saaqī pe ḳhissat gumāñ

tishna sargarm-e-taqāzā chāhiye

Top Urdushayar.com