āḳhir  ye  husn  chhup  na  sakegā  naqāb  meñ
sharmāoge  tumhīñ  na  karo  zid  hijāb  meñ
pāmāl  shoḳhiyoñ  meñ  karo  tum  zamīn  ko
Dālūñ  falak  pe  zalzale  meñ  iztirāb  meñ
raushan  hai  āftāb  kī  nisbat  charāġh  se
nisbat  vahī  hai  aap  meñ  aur  āftāb  meñ
dil  kī  girah  na  vā  huī  dard-e-shab-e-visāl
guzrī  tamām  bast-o-kushād-e-naqāb  meñ
jaañ  maiñ  ne  nāma-bar  ke  qadam  par  nisār  kī
thā  pesh-e-pā  fatāda  ye  mazmūñ  javāb  meñ
hañs  hañs  ke  barq  ko  to  zarā  kiije  be-qarār
ro  ro  ke  abr  ko  maiñ  Dubotā  huuñ  aab  meñ
vaa.iz  se  Dar  ga.e  ki  na  shāmil  hue  ham  aaj
tartīb-e-mahfil-e-mai-o-cha.g-o-rabāb  meñ
saaqī  idhar  to  dekh  ki  ham  dair-e-mast  haiñ
kuchh  mastī-e-nigah  bhī  milā  de  sharāb  meñ
dāḳhil  na  dushmanoñ  meñ  na  ahbāb  meñ  shumār
madd-e-fuzūl  huuñ  maiñ  tumhāre  hisāb  meñ
kis  kis  ke  jaur  uThā.eñge  aage  ko  dekhiye
dushman  hai  charḳh-e-pīr  zamān-e-shabāb  meñ
paiġhāmbar  ishāra-e-abrū  se  mar  gayā
phir  jī  uThegā  lab  bhī  hilā  do  javāb  meñ