kyā  kyā  ajal  ne  jaan  churā.ī  tamām  shab
koī  bhī  aarzū  na  bar  aa.ī  tamām  shab
dil-soz  kab  hue  haiñ  ki  jab  ḳhaak  ho  gayā
turbat  pe  merī  sham.a  jalā.ī  tamām  shab
ai  vā-e-talḳh-kāmī-e-roz-e-bad-firāq
nāseh  ne  jān-e-ġham-zada  khaa.ī  tamām  shab
az-bas  yaqīn-e-vāda-e-dīdār-e-ḳhvāb  thā
kyā  ḳhush  hue  ki  niiñd  na  aa.ī  tamām  shab
ik  āh-e-dil-nashīñ  se  vo  but  munfa.il  huā
vallāh  kyā  nadāmat  uThā.ī  tamām  shab
lagte  hī  aañkh  dekh  liyā  jalva-e-nihāñ
pesh-e-nazar  thī  shān-e-ḳhudā.ī  tamām  shab