Ismail Merathi

manzil daraaz-o-dur hai aur hum mein dam nahin

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
manzil darāz-o-dūr hai aur ham meñ dam nahīñ
huuñ rail par savār to dām-o-diram nahīñ
maidān-e-zindagī meñ kareñ dauḌ-dhūp kiyā
ham aise nā-tavāñ haiñ ki uThtā qadam nahīñ
kyā ḳhuub haath paañv ḳhudā ne atā kiye
chalte raheñ to hājat ḳhīl-o-ḳhadam nahīñ
aġhyār kyuuñ daḳhīl haiñ bazm-e-surūr meñ
maanā ki yaar kam haiñ par itne to kam nahīñ
jab tak hai ishq-o-āshiq-o-ma.ashūq meñ tamīz
khultā kisī pe rāz-e-hadūs-o-qidam nahīñ
aadam pe mo'tariz hoñ farishte to kyā ajab
chakhī hanūz chāshnī-e-zahr-e-ġham nahīñ
iz.hār-e-hāl kā bhī zarīya nahīñ rahā
dil itnā jal gayā hai ki āñkhoñ meñ nam nahīñ
tū hī nahīñ hai ramz-e-mohabbat se āshnā
varna dayār-e-husn meñ rasm-e-sitam nahīñ
irshād-e-tab.a kī na agar pairvī kare
naqqāshī-e-ḳhayāl majāl-e-qalam nahīñ
sar hī ke bal ga.e haiñ sadā rahravān-e-ishq
hairat-zada na ban ki nishān-e-qadam nahīñ
kaisī talab kahāñ kī talab kis liye talab
ham haiñ to vo nahīñ hai jo vo hai to ham nahīñ
Top Urdushayar.com