manzil  darāz-o-dūr  hai  aur  ham  meñ  dam  nahīñ
huuñ  rail  par  savār  to  dām-o-diram  nahīñ
maidān-e-zindagī  meñ  kareñ  dauḌ-dhūp  kiyā
ham  aise  nā-tavāñ  haiñ  ki  uThtā  qadam  nahīñ
kyā  ḳhuub  haath  paañv  ḳhudā  ne  atā  kiye
chalte  raheñ  to  hājat  ḳhīl-o-ḳhadam  nahīñ
aġhyār  kyuuñ  daḳhīl  haiñ  bazm-e-surūr  meñ
maanā  ki  yaar  kam  haiñ  par  itne  to  kam  nahīñ
jab  tak  hai  ishq-o-āshiq-o-ma.ashūq  meñ  tamīz
khultā  kisī  pe  rāz-e-hadūs-o-qidam  nahīñ
aadam  pe  mo'tariz  hoñ  farishte  to  kyā  ajab
chakhī  hanūz  chāshnī-e-zahr-e-ġham  nahīñ
iz.hār-e-hāl  kā  bhī  zarīya  nahīñ  rahā
dil  itnā  jal  gayā  hai  ki  āñkhoñ  meñ  nam  nahīñ
tū  hī  nahīñ  hai  ramz-e-mohabbat  se  āshnā
varna  dayār-e-husn  meñ  rasm-e-sitam  nahīñ
irshād-e-tab.a  kī  na  agar  pairvī  kare
naqqāshī-e-ḳhayāl  majāl-e-qalam  nahīñ
sar  hī  ke  bal  ga.e  haiñ  sadā  rahravān-e-ishq
hairat-zada  na  ban  ki  nishān-e-qadam  nahīñ
kaisī  talab  kahāñ  kī  talab  kis  liye  talab
ham  haiñ  to  vo  nahīñ  hai  jo  vo  hai  to  ham  nahīñ