ishq  karo  to  ye  bhī  socho  arz-e-savāl  se  pahle
hijr  kī  puurī  raat  aatī  hai  sub.h-e-visāl  se  pahle
dil  kā  kyā  hai  dil  ne  kitne  manzar  dekhe  lekin
āñkheñ  pāgal  ho  jaatī  haiñ  ek  ḳhayāl  se  pahle
kis  ne  ret  uḌaa.ī  shab  meñ  āñkheñ  khol  ke  rakkhīñ
koī  misāl  to  honā  us  kī  misāl  se  pahle
kār-e-mohabbat  ek  safar  hai  is  meñ  aa  jaatā  hai
ek  zavāl-āsār  sā  rasta  bāb-e-kamāl  se  pahle
ishq  meñ  resham  jaise  vādoñ  aur  ḳhvāboñ  kā  rasta
jitnā  mumkin  ho  tai  kar  leñ  gard-e-malāl  se  pahle