ye  naam  mumkin  nahīñ  rahegā  maqām  mumkin  nahīñ  rahegā
ġhurūr  lahje  meñ  aa  gayā  to  kalām  mumkin  nahīñ  rahegā
ye  barf-mausam  jo  shahr-e-jāñ  meñ  kuchh  aur  lamhe  Thahar  gayā  to
lahū  kā  dil  kī  kisī  galī  meñ  qayām  mumkin  nahīñ  rahegā
tum  apnī  sāñsoñ  se  merī  sāñseñ  alag  to  karne  lage  ho  lekin
jo  kaam  āsāñ  samajh  rahe  ho  vo  kaam  mumkin  nahīñ  rahegā
vafā  kā  kāġhaz  to  bhiig  jā.egā  bad-gumānī  kī  bārishoñ  meñ
ḳhatoñ  kī  bāteñ  to  ḳhvāb  hoñgī  payām  mumkin  nahīñ  rahegā
ye  ham  mohabbat  meñ  lā-ta.alluq  se  ho  rahe  haiñ  tū  dekh  lenā
duā.eñ  to  ḳhair  kaun  degā  salām  mumkin  nahīñ  rahegā