hamāre  darmiyāñ  ahd-e-shab-e-mahtāb  zinda  hai
havā  chupke  se  kahtī  hai  abhī  ik  ḳhvāb  zinda  hai
ye  kis  kī  narm  ḳhushbū  hai  mirī  shab  kī  havelī  meñ
ye  kaisā  raqs-e-mastī  ai  dil-e-betāb  zinda  hai
kahāñ  vo  sāñvlī  shāmeñ  kahāñ  vo  reshmī  bāteñ
magar  ik  lams-e-hairāñ  kā  abhī  zarnāb  zinda  hai
abhī  tak  pāniyoñ  meñ  surma.ī  saa.e  utarte  haiñ
abhī  tak  dhaḌkanoñ  meñ  dard  kī  mizrāb  zinda  hai
sirāt-e-ishq  hai  aur  hijr  kī  tanhā  masāfat  hai
vahī  hai  tishnagī  phir  bhī  fareb-e-āb  zinda  hai